Sunday, 8 December 2013

भले ही आप दिल्ली  के  विधानसभा चुनाव न जीत पाये पर ये तो सत्य है कि दिल्लीवालों का दिल तो इसी पार्टी ने जीता है।
 
आप ने ही तो बदली है हम सबकी सोच इसी ने ही तो सिखाया है हमें अपने हक़  के लिए लड़ना।  क्या होनी चाहिए हमारी मांगे और कैसे करवा सकते है हम उन्हें पूरा। 
 
अगर हिम्मत हो खुद में तो जरुरत नहीं तलवारों कि ,  दिल्ली में गुंडागर्दी फ़ैलाने वालों कि जरुरत नहीं जरुरत है तो प्यार फ़ैलाने वालो की। 
 
मिलकर भगाना है इस  महंगाई, भ्रष्टाचार,असुरक्षा जैसे शब्दों को , क्योंकि अब आप खुद ही बदल सकते है अपने भारत को। 
 
ना आ पाये अगर आप सत्ता में इस बात का गम मत करो , तुम खुद क्या कर सकते हो देश क लिए इस बात पर गौर करो। 
 
सत्ता में पार्टी का आना जाना तो लगा ही रहेगा , पर ये देश तो नौजवानों  तुम्हारी सोच और हिम्मत से ही बदलेगा। 
 
उम्मीद  है कि बीजेपी के आने से भी दिल्ली में बदलाव हो, जनता का जो विश्वास है इन पर  उसे बनाये रखने  में ये कामयाब हो। 
प्रियंका माहना 
 
 

Friday, 14 June 2013

EK CHOTI C ZINDAGI

zindagi palon ka samundar hai lekin is samundar ki gehrai kitni hai ye koi nahi janta
 
Bachpan se hi hum sabhi sapne dekhna shuru kar dete hai aur jaise jaise hum badhe hote hai vaise vaise hmare sapne b badhe hone lagte hai lekin un sapno ko pura karne me reh jati hai to bas kuch palon ki kami. kuch aise pal jo anjaane me hamse vyarth ho jate hai or un palon ko khone ka ehsas hame bad me hota hai. ye to sabhi jante hai ki ek insaan ka roop lene k liye hame na jane kitne roopon se gujarna padhta hai . hmare is nayi duniya me kadam rakhne se pehle hi hmare aane ki tayariyan shuru kar di jati hai vo 9 mahine jo ek maa k liye khushi k pal leke aate hai or apne bache ko janam dene k bad vo apne aap ko swarag me kadam rakhne jaisa mehsus karti hai or hmare sapno k sath hi unke sapne judh jate hai.
 
lekin ye zindagi hame kaise kaise modh par lakar khada kar deti hai iska andaja to hame khud b nahi hota. hum kabhi kabhi choti choti baton ko lekar lad jhagadte hai to kabhi vahi choti baaten chehre par muskaan le aati hai..
 
zayaj hai ki zindagi sirf ek bar mili hai to ise khul kar jee le kya pta zindagi na milegi dubara. or isi ek zindagi me hum kuch aisa kar jaye ki iski chaap puri duniya par padh jaye jo ache palon ki tarah yad ki jaye. m fir se vahi kehna chahungi ki ye zindagi mile ya na mile dubara.

Friday, 10 May 2013

mila tha use bhi koi
par use lga vo adhura tha
shayad vo kisi or k sath pura tha
roya hoga vo bhi jisko isne yahi sochkar chodh diya
par fir bhi akela rah gya vo
jante ho kyun?????
qki khuda ne un dono ka dil ek dusre k sath jodha tha...

its a human nature koi bhi chiz agar easily mil jaye to ek bar to ye hum sochte hi hai ki shayad hum is se better deserve karte hai or isi ki chah me hum kabhi-kabhi mili hui chiz ko bhi gavan baithe hai....

priyanka Mahna
a beautiful line said by some1 when I asked......
tum shadi kab karoge???? and he replied jisse m psand karta hu jab tak uski shadi ni ho jati... to maine bola q? aisa q??? to he rplied very innocently tab tak uska apni life me aane ka intzaar karunga na stupid..... :) :) <3<3 
AASHIQUI 2 AGAR AISI HOTI TO.........
har koi isi movie k bare me bat kar rha hai and everyone is asking yar hero end me mar q jata hai??? even at the end of the story reason diya hai ki vo isliye suicide karta hai taki Arohi jee sake... par audience hai na jab tak story ki happy ending na ho tab tak story incomplete lagti hai.
kuch audience sochti hai ki agar vo suicide nahi karta to shayad u...nhe ye song " BHULA DENA MUGHE HAI ALVIDA TUGHE, TUGHE JEENA HAI MERE BINA" ye pyare song or lyrics sun ne ko nahi milte.... :):) I think according to me story me kuch change hona chahiye jis se story ek dum perfect ho jaye.... or rahi BHULA DENA MUGHE is song ki baat to ye song interval k time use karna chahiye jab arohi ko uski life ki first success mil jati hai or Rahul un dono logon ki baate sun kar car me baith k chla jata hai ki ab vo aarohi se kabhi nahi milega kahin vo uska dushman na ban jaye... or yahi par interval hota... and "TUM HI HO " song jo movie me is time use kiya gya hai use movie ki ending me use karna chahiye tha , story ki ending hero ka suicide karna nahi balki aarohi ko uska or Rahul ka ek duet song release karne ki sehgal uncle se request karni chahiye thi or jis tarah Rahul ne aarohi k voice ki grooming ki thi vaise hi aarohi ab uski voice ki grooming karti or jis awaz or suron ka malik Rahul jai kar tha vo use dubara hasil kar leta or dono ka ye duet song kafi famous hua ye movie me dikhana chahiye tha. or jo song in dono ne icathe gaya vo song hona chahiye tha "TUM HI HO AB TUM HI Ho, ZINDAGI AB TUM HI HO" to ye banti ek complete love story.... Rahul aarohi ki life me isliye aaya taki jo talent us aarohi me hai vo use sabko dikha sake or jo sapne usne dekhe hai unhe pura kar sake and aarohi Rahul ki life me isliye aayi taki jo name or fame Rahul kho chukka hai vo use dubara mil saken. qki dono ek dusre k bina adhure or akele hai. or jab sath hai to bas "TUM HI HO, QKI TUM HI HO MERI AASHIQUI BAS TUM HI HO"

Priyanka Mahna

Thursday, 3 January 2013

poems k baad ab thoda ye bhi.......:p



Tughe bheja Rab ne meri zindagi me is tarah Ki or ab kisi ki jarurat nahi
Milaya hai rab ne mughe tughse is tarah koi chahe bhi to hum juda ab honge nahi
Vo mughe dekhkar muskurana tera, pass aakar mere sharmana tera
Tu agar sath mere to jee lu jahan
Tughe chahu main itna na chahe koi
Mangu tughko hi rab se or kuch main nahi
Teri baahon me ab to chahun rehna sada
Tughe bheja Rab ne meri zindagi me is tarah Ki or ab kisi ki jarurat nahi
Milaya hai rab ne mughe tughse is tarah koi chahe bhi to hum juda ab honge nahi
Teri yaadon me rehna to chaht hai meri
Tughse hi bateb karna ab to aadat hai meri
Q aati hai sapno me tu rat di ki tere siva ab kuch dikhta nahi
Tughe kya btaun kya haalat hai meri
Tere sapno me aana shrarat hai meri
Na ruthna kabhi tu mughse o meri jaan
Qki ab tu hi to hai zindgani hai meri
Tughe bheja Rab ne meri zindagi me is tarah Ki or ab kisi ki jarurat nahi
Milaya hai rab ne mughe tughse is tarah koi chahe bhi to hum juda ab honge nahi
                                                                                               Priyanka Mahna

A horror short film



Jai  Ganesh  Jai Mahadeva
Jai  Ganesh  Jai Mahadeva
Scene 1
Narrator
Hiiiii!!!! Main Riya ek aisi ladki jise na kabhi bhagwan me vishvas tha, na kabhi bhoot preto me. Meri to jaise apni hi ek alag duniya thi. Par vo kehte hai na insaan ko badi mushkil se ek janam milta hai aur vo ek janam me sab kuch sikh jata hai. Ye main koi kitaabon me likhi hui baaten nahi bol rahi. Ye sab maine khud mehsus kiya hai.
Scene 2
Ghar me sirf ma or uski beti rehti hai…. Ghar me ma subha subha pooja kar rahi hoti hai.. or girl ka alarm bajta hai aur vo subha subha apne fav. Star k poster ko flying kiss kar k uthti hai. Aur tayaar hokar niche aa jati hai.
Dialogues
Mom- chal Riya ab jaldi se aarti le le
Riya- are mumma mere pas itna time nahi hai, aap jaldi se breakfast do. Aur ye pooja-vooja mere bas ki nahi hai
Mom- pta nahi kya hoga is ladki ka, mughe to aisa koi din yaad nahi jab isne bhagwan ka name bhi thik se liya ho
Riya breakfast karti hai or bahar chali jati hai
Scene3
Sham ko ghar me ek safed si saadi pehne hue ek aurat aati hai jis k hath me ek black color ka thaila hota hai aur gale me badi- badi maalayen.
Dialogues-
Aurat- mugh budhiya ko kuch khane ko de do bhagwan tumhara bhala Karen..
Riya ki mummy ghar k darvaje k pas aati hai
Mom- kya chahiye mata ji aapko
Aurat- are bitiya agar kuch khane ko hai to mughe khila do.. bhagwan tumhara bhala karega
Mom- acha mata ji aap rukiye main aapke liye kuch lekar aati hu
( hum background me dikhayenge ki us budhi aurat ko yad aata hai, ki e tantrik baba ne use bola tha ki ye potli hum kisi ki gair maujudagi me kisi k darwaje k andar rakhenge aur jis kisi ne vo potli kholi vo hmare vash me apne aap ho jayega… or fir 100 aatmayen hmare vash me ho jayengi….. aur hansta hai
Vo aurat jaldi se bag me se vo potli nikalti hai aur ghar k ander rakh k chali jati hai..
Itne me Riya ghar pe pahuch jati hai….. aur uski nazar us potli par padhti hai.. aur vo use apne hath me le leti hai
Dialogue- mom  b na  pta nahi kis kis me chizen dal k rakh leti hai. Aur use apne sath apne room me leke jane lagti hai
Mom- riya tu aa gayi, aur vo budhi aurat jo bahar khadi thi vo kaha gayi..
Riya- mom jab main aayi tab to koi aurat ni thi. Nd mumma mughe jaldi se kuch bna k de do bahut bhookh lag rhai hai…
Mummy kuch bna ne k liye kitchen me chali jati hai aur riya apne room me.
Scene 4
Riya- Are is potli me kya hai dekhu to jra…. In this we will use some different sound effect jise sun k lage ki ha ab kuch galat hone vala hai… aur riya us potli ko khol kar dekh hi leti hai. Jaise hi vo potli kholti hai uski shakal ek dum dangerous ho jati hai bt bad me normal ho jati hai.
Scene5
Rat ko ladki k kamre ka darvaja apne aap khul jata hai. Daravani daravani aawazen aane lagti hai, iske bad seedha ladki k face pe focus ki ladki baithi hui hai aur uske baal bikhre hue hai uski aankhen ek dum reddish ho jati hai aur vo daravni daravni awazen nilakti hai….
Kai dino tak ladki yahi sab karti rehti hai…
Scene6
Or ek din ladki market se bhooton ki shakal k khilone, khopdi kharid k laati hai or rat ko mandir se bhagwan ki murti ki jagah us khopdi or khilono ko lekar mantra padhti hai…
Scene 7
Narrator
Main kaha janti thi ki aaj k samay me bhi bhoot-pret jaisi baaten hoti hai. Inhe to bas main t.v serials ya bas kitaabon me padhti thi.par ek din…………..
Scene8
Riya ki ek friend ek din  ghar par aati hai
Riya ki friend- hello aunty, riya ghar par hai kya?
Dialogues
Mummy- han beta apne room me hai, tum uske room me hi chali jao
Riya ki friend- okay aunty main us se mil k aati hu
Riya ki friend riya se milti hai
Riya ki friend- ye le Riya pen drive isme saari horror movies ha
Riya- thanku yaar,chal dekhte hai
Dono movie chlate hai aur movie dekhte hai, isi beech riya movie me jaise bhooton k scenes chal rahe hote hai, vaisi harkaten karni start kar deti hai.
Riya ki friend- are vah riya tu to bahut achi acting kar leti hai
Riya – bal bikherte hue  aur chehre par daravane expression lete hue, bahut achi lag rahi hai acting tughe, hmm hmm hmm… aisa kehte kehte apni friend ki garden pakad leti hai.. uski  friend badi mushkil se apni jaan bchati hai or vaha se chali jati hai.
Scene 9
Kafi dino tak aisa hi hota hai. Riya har roz ek dravni movie dekhti hai or paglon jaisi harkaten karti hai. Na kuch khati hai or na hi kisi se baaten karti hai. Bas apne room me hi rehti hai.
Scene 10
Ek din riya ki mummy market me ja rahi hoti hai or use riya ki friend milti hai
Dialogues
Mom- are beta us din tum mughe bina btaye hi chali gayi thi, kya riya ne tumhe kuch bol diya tha kya?
Riya ki friend- are nahi aunty us din…… Riya ki friend us din jo hua vo sari baaten aunty ko btati hai( in this we will mute the sound and we will use only expressions of both characters and thoda thoda vo scene dikhayenge jo us din hua tha.
Mom- hey bhawan, par riya ko to main  akela ghar par chodh aayi hu, chalo mere sath pta nahi kya kar rahi hogi vo ghar pe.
Dono ghar ki taraf chalte hai
Scene 11
Riya mirror k aage baithkar kajal aankho me lgane ki bjaye aankho k niche lga rahi hoti hai aur gana ga rahi hoti hai ‘sajna hai mughe sajna k liye’
Itne me riya ki friend or uski mom ghar pahuch jate hai riya ko is halat me dekh uski ma ki aansu rukte nahi… par riya behosh ho jati hai. Riya ki friend or mom use hospital le jate hai
Dialogues
Mom- doctor riya ko hua kya hai? Vo thik to ho jayegi na
Doctor- dekhiye abhi hum kuch keh nahi sakte. par uski halat itni gambhir hai ki use ek doctor ki nahi, bhagwan k aashirvad ki jarurat hai
Mom- bhagwan k aashrvad ki….
Doctor- dkhiye vaise to main paranormal activites pe believe nahi karta par mughe lagta hai ki us par kisi bhoot ka saya hai. Qki jis tarah vo do do awazen niklati  hai. Jaise hi use hum koi injection lgane lagte hai to sui apne aap tut jati hai. Aisa ek ordinary person k sath nahi ho sakta,  and uski reports b kuch clear nahi aa rahi. To meri advise ye hai ki aap ise kisi dusre jagah le jaayen.
Aur bas vo bechari ma apni beti ko bchane k liye har tarah ka pooja path karvati hai apni beti k name ka…( scenes of gurudwara, temples)
Or aakhir vo din aa hi jata hai jab uski beti puri tarah se thik ho jati hai.
Scene 12
Narrator
Jis bhagwan ka main itna anadar karti thi usi ne mughe ek naya janam diya, ab ye bhagwan ka hi khela koi khel tha ya meri bachkani harkaton ki saja ye to main nahi janti, bas janti hu to itna ki us upar vale ki chatari tumhare upar jarur rehni chahiye.
Jai  Ganesh  Jai Mahadeva
Jai  Ganesh  Jai Mahadeva
                                                                            Priyanka Mahna